IGNOU Query
Kiya assignment jama karne ki date badhe gi ?
Commented on :
IGNOU ke assignment jama karne ki antim tithi 31st March 2024 hai, jo TEE June 2024 ke chhatraon ke liye laagu hai. Yadi kisi chhatra ne apna assignment samay se jama nahi kiya, to vah IGNOU dvara aayojit Term End Exam mein bhag nahi le sakta. Antim tithi sirf tab badlegi jab IGNOU Head Office se iske bare mein adhikarik ghoshna hogi. Yadi aapne abhi tak apna assignment jama nahi kiya hai, to main aapko salah dunga ki aap jald se jald apna assignment jama kar dein